Posts

Pyar kya hota hai(What's love)

  Muhabbat   pyar  love kya hai ? Ye ques har  insan k dil aur dimag me us waqt janm leta hai jab usey bhi pyar ka koi ehsas choone lagta hai....? Pyar kya hota hai ? Kab hota hai ? Kaise hota hai ? Kyu hota hai  ? Kisse hota hai ? Kya nishani hai pyar ki ? Kya dubara pyar ho sakta hai ? Kya pahla pyar hamesha yaad rahta hai ? Kya zindagi pyar k bina namumkin hai?  Kya pyar hi zindagi hai ? Kya insan pyar k bina adhoora hai ?       Is tarah k aur bhi najane kitne sawal dil me ubharte machalte rahte hain...ab bat ye hai ki ahir in sawalo k jawab kon de...kya kudi ek insan k liye im sare sawalo k jawab dena asan hai ....? Nhi kyuki zindagi to sab jee rahe hn lekin alag alag tarah se pyar ek hi ehsas hai lekin har kisi ki zindagi me alag tarah se entry karta hai aur exit hota hai isliye pyar ki paribhasha har insan k liye alag alag hai ....koi kahta hai pyar phool hai to koi kahta hai pyar shool hai, kisi k liye khusbu hai to kisi k liye fa...

Meri tanhai meri humraaz

      Tanhai ek aisa lafz h jiski khubsurti ko tanhai pasand shakhs hi jaan sakte hn jse ki mai, mujhe tanhai se ishq hai bepanaah ishq  kyuki mai tanhai me hi khud ko analyise karti hu khud ko pahchanti hu sudharti hu yaani apni zindagi ka qeemti waqt apni hi zindagi par sarf karna khud ko ikattha karna fir jodna aur jadkar sanwarna ye sab tanhai me hi mumkin h insan khud ko dusro k samne tode jade       Apni shakhsiyat ko aaphi sawar sakte hn khud ko waqt dijye khud se pyar kijye khud ko khush kariye aur ye sab moral culture se hi posdible hai  isliye maoral cultures ko khud me fill kar lijye dusro k liye khud ko tayar rakhiye .....yakeen maniye kisi ki help karke wahi khush i milti h jo doobe ko tinke ka sahara milne par hoti hai.

Suvichar

Khuda ne har jandar ko koi na koi aisi khasiyat zaroor di hai ki jisse dusra jandar usse khauf khaye aur nuksan na pahunchaye jse chinti , chinti k katne se insan hathi bhi darta hai, gaye k seeng ,maa baap ki dant , dost ki narazgi , bacho ki zid, aurat k ansu, mard ka gussa ye sabhi wo khasiyat h jisse insan kahi na kahi darta hai aur na  unki masumiyat se fayeda uthata hai aur na hi unke jazbat ki naqadri karta hai .        Hame har kisi ko wo maqam zaroor dena chahiye jiske wo haqdar hon....

Su vichar

 Life me kuch bhi ho jaye apna iman apna zameer ka sauda nahi karna bhale hi jaan ka sauda kardo lekin jo apke apne honge wo na apko iman ka sauda karne denge na jaan ka....😢